top of page

Ye Raatein Ye Mausam Lyrics

रातें ये मौसम नदी का किनारा - Ye Raatein Ye Mausam Nadi Ka Kinara (Kishore, Asha, Dilli Ka Thug)
Movie/Album: दिल्ली का ठग (1958)
Music By: रवि
Lyrics By: मजरूह सुल्तानपुरी
Performed By: आशा भोंसले, किशोर कुमार

Ye Raatein Ye Mausam Lyrics

Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Kaha do dilon ne ki milkar kabhi hum na honge juda

Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Yeh kya baat hai aaj ki chandni mein

Yeh kya baat hai aaj ki chandni mein

Ke hum kho gaye pyar ki ragini mein

Yeh baahon mein baahein, yeh behki nigahein

Lo aane laga zindagi ka maza

Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Sitaron ki mehfil ne karke ishara

Sitaron ki mehfil ne karke ishara

Kaha ab toh sara jahaan hai tumhara

Mohabbat jawaan ho, khula aasmaan ho

Kare koi dil aarzu aur kya

Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Kasam hai tumhe tum agar mujhse roothe

Kasam hai tumhe tum agar mujhse roothe

Rahe saans jab tak yeh bandhan na toote

Tumhe dil diya hai, yeh vaada kiya hai

Sanam main tumhari rahungi sada

Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Kaha do dilon ne ki milkar kabhi hum na honge juda

Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

bottom of page